Skip to main content

Ghazal Of Allama Iqbal R.A In Roman English and Urdu Khird Mandon Se Kya Puchun

 علامہ اقبال
خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے

کہ میں اس فکر میں رہتا ہوں میری انتہا کیا ہے


خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے

خدا بندے سے خود پوچھے بتا تیری رضا کیا ہے


مقام گفتگو کیا ہے اگر میں کیمیا گر ہوں

یہی سوز نفس ہے اور میری کیمیا کیا ہے


نظر آئیں مجھے تقدیر کی گہرائیاں اس میں

نہ پوچھ اے ہم نشیں مجھ سے وہ چشم سرمہ سا کیا ہے


اگر ہوتا وہ مجذوب فرنگی اس زمانے میں

تو اقبالؔ اس کو سمجھاتا مقام کبریا کیا ہے


نوائے صبح گاہی نے جگر خوں کر دیا میرا

خدایا جس خطا کی یہ سزا ہے وہ خطا کیا ہے

Allama Iqbal
Khird Mandon Se Kya Poochhoon


Khird mandon se kya poochhoon ke meri ibtida kya hai

Ke main is fikr mein rehta hoon meri inteha kya hai


Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle

Khuda bande se khud poochhe, bata teri raza kya hai


Maqam-e-guftagu kya hai agar main kemiya gar hoon

Yahi soz-e-nafas hai aur meri kemiya kya hai


Nazar aayein mujhe taqdeer ki gehrayiyan is mein

Na poochh ae hum-nasheen mujh se woh chashm-e-surma sa kya hai


Agar hota woh majzoob-e-farangii is zamane mein

To Iqbal isko samjhata maqam-e-kibriya kya hai


Nawa-e-subah gahi ne jigar khoon kar diya mera

Khudaya jis khata ki yeh saza hai

 woh khata kya hai


Comments

Copyright © 2018 Lafz e Aaina Urdu Poetry All Right Reseved