Skip to main content

Ghazals of Jaun Elia Umar guzregi imtihaan mein in Roman English and Urdu

Presented by: Lafz e Aaina Urdu Poetry

 Jaun Elia


Umar guzregi imtihaan mein kya
Daagh hi denge mujhko daan mein kya.

Meri har baat be-asar hi rahi
Nuks hai kuch mere bayaan mein kya.

Mujhko to koi tokta bhi nahi
Yahi hota hai khaandaan mein kya.

Apni mehroomiyan chupate hain
Hum gareebon ki aan-baan mein kya.

Khud ko jaana juda zamaane se
Aa gaya tha mere gumaan mein kya.

Shaam hi se dukaan-e-deed hai band
Nahi nuqsaan tak dukaan mein kya.

Ae mere subah-o-shaam dil ki shafaq
Tu nahati hai ab bhi baan mein kya.

Bolte kyon nahi mere haq mein
Aable pad gaye zabaan mein kya.

Khamoshi keh rahi hai kaan mein kya
Aa raha hai mere gumaan mein kya.

Dil ke aate hain jisko dhyaan bahut
Khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya.

Woh mile to yeh poochhna hai mujhe
Ab bhi hoon main teri amaan mein kya.

Yun jo takta hai aasman ko tu
Koi rehta hai aasman mein kya.

Hai naseem-e-bahar gard alood
Khaak udti hai is makaan mein kya.

Yeh mujhe chain kyon nahi padta
Ek hi shakhs tha jahaan mein kya.

جون ایلیا

عمر گزرے گی امتحان میں کیا
داغ ہی دیں گے مجھ کو دان میں کیا

میری ہر بات بے اثر ہی رہی
نقص ہے کچھ مرے بیان میں کیا

مجھ کو تو کوئی ٹوکتا بھی نہیں
یہی ہوتا ہے خاندان میں کیا

اپنی محرومیاں چھپاتے ہیں
ہم غریبوں کی آن بان میں کیا

خود کو جانا جدا زمانے سے
آ گیا تھا مرے گمان میں کیا

شام ہی سے دکان دید ہے بند
نہیں نقصان تک دکان میں کیا

اے مرے صبح و شام دل کی شفق
تو نہاتی ہے اب بھی بان میں کیا

بولتے کیوں نہیں مرے حق میں
آبلے پڑ گئے زبان میں کیا

خامشی کہہ رہی ہے کان میں کیا
آ رہا ہے مرے گمان میں کیا

دل کہ آتے ہیں جس کو دھیان بہت
خود بھی آتا ہے اپنے دھیان میں کیا

وہ ملے تو یہ پوچھنا ہے مجھے
اب بھی ہوں میں تری امان میں کیا

یوں جو تکتا ہے آسمان کو تو
کوئی رہتا ہے آسمان میں کیا

ہے نسیم بہار گرد آلود
خاک اڑتی ہے اس مکان میں کیا

یہ مجھے چین کیوں نہیں پڑتا
ایک ہی شخص تھا جہان میں کیا


Comments

Copyright © 2018 Lafz e Aaina Urdu Poetry All Right Reseved