Skip to main content

Ghazal Of Faiz Ahmad Faiz Aaye Kuch Abr Kuch Sharaab Aaye Iske Baad Aaye Jo Azaab Aaye

Presented by: Lafz e Aaina Urdu Poetry

 Faiz Ahmad Faiz 

Lafz e aaina urdu poetry


Aaye kuch abr, kuch sharaab aaye
Iske baad aaye jo azaab aaye.

Baam-e-meena se mahtaab utre
Dast-e-saqi mein aaftab aaye.

Har rag-e-khoon mein phir charaghan ho
Saamne phir wo be-naqab aaye.

Umr ke har waraq par dil ki nazar
Teri mehr-o-wafa ke baab aaye.

Kar raha tha gham-e-jahan ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aaye.

Na gayi tere gham ki sardari
Dil mein yun roz inqilab aaye.

Jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
Jab bhi hum khanman-kharaab aaye.

Is tarah apni khamoshi goonji
Goya har simt se jawaab aaye.

Faiz thi raah sar-basar manzil
Hum jahan pahunche, kaamyaab aaye.

فیض احمد فیض
آئے کچھ ابر کچھ شراب آئے
اس کے بعد آئے جو عذاب آئے

بام مینا سے ماہتاب اترے
دست ساقی میں آفتاب آئے

ہر رگ خوں میں پھر چراغاں ہو
سامنے پھر وہ بے نقاب آئے

عمر کے ہر ورق پہ دل کی نظر
تیری مہر و وفا کے باب آئے

کر رہا تھا غم جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے

نہ گئی تیرے غم کی سرداری
دل میں یوں روز انقلاب آئے

جل اٹھے بزم غیر کے در و بام
جب بھی ہم خانماں خراب آئے

اس طرح اپنی خامشی گونجی
گویا ہر سمت سے جواب آئے

فیضؔ تھی راہ سر بسر منزل
ہم جہاں پہنچے کامیاب آئے

Comments

Copyright © 2018 Lafz e Aaina Urdu Poetry All Right Reseved