Presented by: Lafz e Aaina Urdu Poetry
Allama Iqbal
Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain.
Tahi zindagi se nahi ye fizayein
Yahan sekadon karwaan aur bhi hain.
Qana'at na kar aalam-e-rang-o-boo par
Chaman aur bhi, aashiyan aur bhi hain.
Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Maqamat-e-aah-o-fugaan aur bhi hain.
Tu shaheen hai, parwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaan aur bhi hain.
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja
Ke tere zamaan-o-makaan aur bhi hain.
Gaye din ke tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere raazdaan aur bhi hain.
علامہ اقبال
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں
قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے
رازداں اور بھی ہیں

Comments
Post a Comment